Thursday, November 29, 2007

POEMS by GULZAR

POEMS by GULZAR

KITABEIN

kitabein jhankti hain band almaari kay sheeshon se
badee hasrat se takti hain
maheeno ab mulaaqat nahi hoti
jo shamein in ki sohbat main kata karti thein,,,,ab aksar
guzar jaatee hain computer kay pardon par
badi bechain rahti hain kitabein

zaban par zaiqa aata tha jo in safhe palatne ka
ab ungli click karne se bas
ik jhapki guzarti hai
buhat kuch tah-b-tah khultaa chalaa jaataa hai parde par
kitabon se jo zaati rabta tha kat gaya hai

kabhi seeney pe rakh ke lait jaate the
kabhi godee mein rakhte thay
kabhi ghutno ko apne rahal ki soorat banah kar
neem sazade mein parhaa karte thay,chhoote jabhee se
khuda nay chaha to wo sara ilm to miltaa rahegaa baad mein bhee

magar who jo kitabon mein milaa karte thay sookhay phool
kitabein maangne,giraanay,uthaane kay bahaane rishty bante thay
unkaa kyaa hogaa
wo shayad ab nahi hongey!

GULZAR

sohbat:-company, safhe :- pages, zaati:- private, raabta:- connection,understanding, rahal:- book stand(usually used for keeping religious texts), sazde:- quotes from the kuran, ilm:- knowledge


Nazm:- poem

Humdum

The nazm of this month is dedicated to the Environment, as we celebrate World Environment Day (5th June) this month.This nazm depicts relationship between Man and Trees. The main character of the nazm is a tree, who according to the poet is his HUMDUM. In this nazm the poet tells about various stages of his life (childhood, marriage, birth of his son and now in old age) and how this 'Ped' has contributed to his life . Like always, Gulzar saheb ends this nazm with a brilliant climax.
HUMDUM

Mod pe dekha hai wo boodha-sa ek ped kabhi ?
Mera waqif hai, bahut salon se mein use jaanata hoon

Jab mein chhota tha to ik aam udaane ke liye
Parli deewar se kandhon pe chadha tha uske
Jaane dukhti huee kis shaakh se jaa paanv lagaa
Dhaad se phenk diya tha muje neeche usne
Meine khunnas main bahut phenke the pathar us par

Meri shaadi pe mujhe yaad hai shaakhein dekar
Meri vedi ka hawan garm kiya tha usne
Aur jab haamla thi 'Biba' to dopahar main har din
Meri biwi ki taraf kairiyan phenki thi isi ne
Waqt ke saath sabhi phool, sabhi patti gaye

Tab bhi jal jaata tha jab Munne se kehti 'Biba'
'Haan,usi ped se aaya hai tu, Ped ka phal hai'
Ab bhi jal jaata hoon. jab mod se gujarte mein kabhi
Khaanskar kehta hai, 'Kyo, Sar ke sabhi baal gaye?'

'Subah se kaat rahe hain woh Kameti wale
Mod tak jaane ki himmat nahin hoti mujhko'

Nazm of the Month - Feb 99 (Dastak)

This month, a nazm dedicated to Indo-Pak relationship. Gulzar saheb was born in Pakistan and after Partition, he came to India. The pain of partition can be seen in many of his nazms and stories. This nazm has two distinct views on Indo-Pak relations. The nazm starts with a view of awaam (The hope) and ends with siyasi view of it (The truth). I have added few shers of another nazm to symbolize Wagah meeting as a symbol of hope of improvement of relationship.

Subah subah ik khwab ki dastak par darwaza khola, dekha
Sarhad ke us paar se kuchh mehmaan aaye hain
Aankhon se maanoos the saarey

Chehre saarey sune sunaaye
Paanv dhoye, Haath dhulaye
Aangan mein aasan lagwaaye...
Aur tannoor pe makki ke kuchh mote mote rot pakaye
Potli mein mehmaan mere
Pichhale saalon ki faslon ka gud laaye the

Aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha
Haath lagakar dekha to tannoor abhi tak bujha nahin tha
Aur hothon pe meethe gud ka jaayka ab tak chipak raha tha

Khwab tha shayad!
Khwab hi hoga! !
Sarhad par kal raat, suna hai, chali thi goli
Sarhad par kal raat, suna hai
Kuchh khwaabon ka khoon hua hai

and on wagah meeting of two PM's

Is mode se jaate hain,
kuchh sust kadam raste, kuchh tej kadam raahein

Is mod se jaati hain har ek taraf raahein

Ye soch ke baithe hain
Ik raah to wo hogi, tum tak jo pahunchti hai, is mode se jaati hai

*** Ab Bhi Teri Aahat Per ***


Zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat per..
Dard bhool jaatey hain ab bhi teri aahat per..

Shabnami sitaron per phool khilnay lagtay hain..
Chaand muskuratay hain ab bhi teri aahat per..

Umer kaat dii lekin bachpana nahin jaata..
Hum diye jalatey hain ab bhi teri aahat per..

Ghantiyan sii bajti hain raqs honay lagta hai..
Dard jagmagatey hain ab bhi teri aahat per..

Teray hijar mein hum per ik azaab taari hai..
Chonk chonk jaatey hain ab bhi teri aahat per..

Teri yaad aaye to neend jaati rehti hai..
Chaand muskurata hai ab bhi teri aahat per..

Ab bhi teri aahat per aas lout aati hai..
Ashkh hum bahatey hain ab bhi teri aahat per...

begins in the album "fursat ke raat din".. check out what Gulzar saab has to say..

" Raat aur din.. kitne khoobsurat do waqt hain.. aur kitne khoosurat do lavs.. ab in do waqto ke beech ek waqfa aisa bhi aata hain jise shaam ka waqt kehte hain..yeh ek aisa waqfa hain jise na to raat apnati hain.. na din apne saath leke jaati hain.. ab is chode huye, ya choote huye lawaris waqt se, shayar aksar koi lamha chun leta hain.. aur see leta hain apne shero mein..lekin koi koi shaam bhi aisi baanj hoti hain.. ke koi waqfa de ke nahi jata.. koi lamha deke nahi jaata.."

Another very beautiful ghazal of Gulzar Sb.


nazm ulajhii huii hai siine me.n
misare aTake hue hai.n hoTho.n par
u.Date-phirate hai.n titaliyo.n kii tarah
lafz kaaGaz pe baiThate hii nahii.n
kab se baiThaa huu.N mai.n jaanam
saade kaaGaz pe likhake naam teraa


bas teraa naam hii mukammal hai
isase bahatar bhii nazm kyaa hogii

"humne dekhi hai...
un aankhonki mehekti khushboo...
haath se chuke use rishtonka ilzaam na do....
sirf ehsaas hai yeh ...ruh se mehsoos karo...
pyaar ko pyaar hi rehne do koi naam na do!!"
--from khamoshi

dil dhoondta hai, fir wahee furasat ke raat din
baithhe rahe tasabur-ye-jaanaa kiye huye

jaadon kee narma dhoop aaur aangan mein let kar
aankhon pe khinch kar tere daaman ke saaye ko
aaundhe pade rahe kabhee karawat liye huye

yaa garmeeyon kee raat jo poorawaaiyaan chale
thandee safed chaadaro pe jaage der tak
taaron ko dekhate rahe chhat par pade huye

barfilee sardiyon mein kisee bhee pahaad par
waadee mein gunjti huyee, khaamoshiyaan soone
aankhon mein bheege bheege se lamhe liye huye

Jab bhi ye dil udaas hota hai

Jab bhi ye dil udaas hota hai
Jaane kaun aas paas hota hai

Honth chup-chap bolte ho jab
Saans kuchh tej-tej chalti ho
Ankhe jab de rahi ho awaazien
Thandi aahon mein saans jalti ho

Ankh mein tairtee hain tasvirien
Tera chehra tera khayal liye
Aaina dekhta hai jab mujh ko
Ek masoom saa sawal liye

Koi vaada nahi kiya lekin
Kyon tera intezaar rehta hain
Be-wajah jab karaar mil jaaye
Dil bada be-karar rehta hai

No comments: